Tuesday 16 June 2015


Ay Allah tere huzoor apni natawaani aur apne h'eele ki kami aur logon ki mere saath be-a'tnaai ki shikayat pesh karta hoon aur is par apna dukh tere huzur zahir karta hoon ay sab raham karne waalon se bade raham karne waale mujhe kis ke supurd karte ho? dushman ki taraf? jo mujh se badkalami kare ya kisi qaraabat daarko mere liye bohot wasa't mein tere kareem chehre ke noor ki panaah mein aata hoon jis se aasmaan raushan hain aur jis ki badaulat tareekhiyan roshni mein badal jaati hain aur jis se dunya aur aakhrat ka maamla sawarta hai. main is baat se panaah maangta hoon ke teri naraazgi ka nishaana banoon ya tera ghussa mujh par nazil ko. tera haq hai ke tujhe raazi kiya jaye
teri taaeed wa tawfeeq ke baghair kisi mein koi quwwat hai na taaqat.
Ay Allah, beshak tu mera kalaam sunta hai aur mera thhikana dekhta hai aur mere zaahir aur posheeda ko jaanta hai aur mera koi ma'mla tujh se chhipa naheen hai. main museebat zadah mohtaaj hoon. fareed kunaah, panah ka taalib, khawfzada larzaan, apne gunaahon ka mo'taraf, iqraar karne wala hoon, tujh se miskeen ki tarah maangta hoon aur bebass, haqeer, gunaahgaar ko jis tarah gada gadna chahiye main aise hi karne mein koshaan hoon aur aafat ka shikaar aur khoufzadah ho kar haath phailata hoon aur us shakhs ki tarha dua kar raha hoon jis ki gardan tere saamne jhuki hoti hai aur tere saamne us ki ashk-rawaan haan aur badan tere saamne a'jizi ka izhaar kar raha hai aur jo tere saamne apni naak khaak par ragad raha hai. ay mere allah! mujhe aisa na kar ke tujhe se dua karke bhi mehroom rahoon aur mere saath lutf o karam se maamla farma. ay sab se accha masiol! aur ay sab se behtar a'ta karne waale (HAsan Hussain)
Ay Allah! Main aap ki panaah mein aata hoon museebat ki shiddat se badbukhti main ghirne se, taqdeer ki buraai se aur aise haal se jis e dekh kar dushman khush hon ( Mishkaat)
Mujhe Allah kaafi hai, us ke siwa koi saccha ma'bood naheen. Usi par mera bharosa hai aur wahi a'rsh e a'zeem ka rabb hai. Subha wa shaam saat martaba padhen
(Tirmidhi)
ay mere Allah! Fikr door karne waale, gham se nijaat dene waale! la charon ki du'a qubul karne wale! dunya wa aakhrat ke rehmaan wa raheem! tu mujhe apni rehmat se nawaazta rehta hai mujh par aisi rehmat farma jo mujhe tere siwa har ek se beniyaaz karde
(Tibrani)
Ay Allah, Aap mere rabb hain, aap ke siwa koi saccha ma'bood nahin. Aap ne mujhe paida kiya aur main aap ka bunda hoon aur aap se kiye hue ehed aur wa'de par qayim hoon. apni taaqat ke mutabiq aap ki panah chahta hoon, bure kaamon se ke wabaal se jo maine kiye , mujhe iqraar hai is ehsaan ka jo mujh par aap ka hai aur mujhe aitraaf hai apne gunahon ka pas mujhe bakhsh dijiye kyunke aap ke siwa gunahon ko koi naheen mita sakta (Bukhari)

اللَّهُمَّ لا سَهْلَ إلَّا مَا جَعَلْتَهُ سَهْلاً وَ إنْتَ تَحْعَلُ الْحزْنَ إذَا شِئْتَ سَهْلاً
Allahumma la sahla illa ma ja'altu sahla, wa 'anta taj-alul hazna idha shi'ta sahla

O Allah!  There is nothing easy except what You make easy, and You make the difficult easy if it be Your Will
[Ibn Hibban]  


Ay Allah, aasaan ahi hai jise aap aasaan bana den. aur aap jab chahen sung-laakh zameen ko narm bana den